Thursday, August 27, 2009

Aaja Mere Dost...

Aaja Mere Dost
Din dhale din dhale
Chaar saal ab chal basey
Kab miley kya hai pataa
Kyu miley Jaane kya woh khuda?

Aaja mere dost mujhe galey lagaale
Kabhi kabhi toh hamey yaad karle

Guzre thei din woh suhaane hamaare
Khile thei kushiyon ke phool yahaan pe
Yaad hai hamey woh din zaroor
Jab bhaagte they ham lectureon se door

Pakde jaate kyun sudhartey?
Bigdey hue kameeney!

Sunle tu ab mere is pukaar ko
Dosti ki yeh nadiyan mein hamey behne do


Ab hamey hai door jaana
Duniya ke is jung mein ladna
Papa ki daat se ab thak gaye
Ab toh ham kuch karke dikhaye

Sapno ki godi mein ab tak they soye

Adchano ko paar kar aage badhenge
Jaage hai ab jeetenge sab is jung ko

No comments:

Post a Comment